Last Updated on December 26, 2020 by jatin kumar
Namaskar Dosto, Aaj ke post me hum Facebook par autoplay video ko band kaise kare iski bare me janege,dosto aaj ki time me facebook ka use lagbhag sabhi log karte hai par uske pure settings ke bare me bhote kam log jante hai aur is he lye hum es post me ek bahut he ache facebook ke setting ke baare me baat kar rahe hai ki facebook par kuch post video vali show hote hai or jaise he wo video post hamare samne aate hai to video post ka video apne aap he play ho jaata hai vo bhi hamare bina video ko play kiye,
Friends aap apne facebook par autoplay video ko disabled, off, band karna chahte hai to hamare is article ko pura or dhyan se padhe, kyu ki hum is article me aapko mobile or pc dono ki lye Facebook autoplay video turn off kaise kare iske baare me sikhne vaale hai to sabse pahle hum mobile settings ke baare me janege.
Mobile me facebook par autoplay video ko band kaise kare
Friends apne fb par autoplay hone vaale video ko stop karne ki baare me jaanne ke lye aapko niche de gye sabhi steps ko follow karna hoga-
Step 1. Sabse pahle apne mobile me facebook ko open karna hai,
Step 2. Uske baad aapko apne facebook setting ko open karna hai, facebook settings ko open karne ke lye aapko apne facebook app me up side-right me 3 line najar aayige jis par aapko click karna hai,

Step 3. Friends ab aapko setting & privacy ke option par click karna hai,
Step 4. Friends ab aapko settings ke option par click karna hai,

Step 5. Friends ab aapke samne kuch new options open ho jayige un options me aapko sabse niche down me media and contacts ke option par click karna hai.

Step 6. Media and contacts me aane ki baad kuch options aapke samne or open ho jayige jinme aapko autoplay ka option milega jise aapko select karna hoga,

Step 7. Autoplay ki option me jaane ki baad aapke samne 3 options show honge.
- On mobile data and wifi connection
- On wifi connection only
- Never auto play videos
Step 8. Aapko en options me se 3 number wali option ko select karna hai jo sabse last me hai never auto play video.
Step 9. Friends Is pure process ko karne ke baad aapko back aa jaana hai aur apne facebook app ko restart karna hai,
Friends in sbhi steps ko complete karne ke baad aap apne facebook account ko check kar sakte ho ab aapke facbook post me koi bhi video apne aap play nahi hoga aur jab aap kise video ke uper click karte ho tabhi vo video play hoga,
Read more post:
- How to delete all post from facebook
- Google pay apk kaise use kare
- Top 5 best antivirus for pc in india
How to stop autoplay video on facebook | Pc me facebook par autoplay video ko band kaise kare
Pc me facebook ki sabhi autoplay hone vaale video ko band karne ki lye aapko niche diye sabhi setting ko apne facebook me apply karna hai-
Step 1. Sabse pahle aapko apne pc me facebook account ko open kar lina hai,
Step 2. Uske baad facebook par right side-up me aapko ek down arrow ka button milega aapko us par click karna hoga,
Step 3. Click karne ke baad aapke samne kuch option show honge un me se aapko setting ke option par click karna hai,

Step 4. Iske baad friends aapke samne ek new page open ho jayiga jisme aapko left-side down me videos ke option par click karna hai

Step 5. Videos ki option par click karne ke baad aapke samne video setting ke option show ho jaata hai, Video setting me aapko 3 options show hote hai-
- Video Default Quality
- Always show captions
- Captions display
Step 6. In option me se aapko 2nd option ko salect karna hai, es option ke aage ek button show hoga jiske setting on milte hai aapko usko off kar dina hai,

Step 7. Friends ab es process ko karne ke baad aapke facebook me autoplay hone vaale video ab automatically play nahi hoge.
Friends is pure process ko follow kar ke aap apne computer se bhi facebook ke sabhi automatically play hone vaale video ko band kar sakte ho.
Note- Umed hai aapko hamare “Facebook par autoplay video ko band kaise kare” ke post se kaafi help mile hoge, friends is post ko apne share jarur kare, ager hamare article me aapko kuch samje me nahi aata hai to aap hame comments kar ki puche sakte hai, Thanks all.
Read More article:
- Facebook se earning kaise kare
- Instagram se paise kaise kamaye
- Online Content writing se paise kaise kamaye